Wednesday, August 20, 2008

Pujari aur Mujawir ki mulaqaat


The objective of this poem is to bring people's attention towards the fact that how we have contaminated our religion i.e Islam
we have made new rituals which r not mentioned in ahadith of prophet(sl) and left his sunnah.
Ignorant muslims have adopted the rituals of non-beleivers.
Pujari:-
Aap se kuch arz karna chahta hai khaksaar
Is haseen lamhe ka mujh ko tha bahut hi intezaar
Aap hi suljha dein agar is ki koi tadbeer(solution) hai
Roz mere dil mein aata hai yahi bas ek sawaal
Kya aqeedon mein hamare aap bhi hain hum khayaal?


Mujawir:-
Khaq ho munh par tere, bedeen(non beleiver) teri ye majaal
Kaise tune keh diya hum ko bhi apna hum khayaal
Karle apni baat wapas kholna na phir zabaan.
Ek sunni ahle-e-imaan aur ek kaafir kahan?
Ye khayal-e-kham tere dil mein kaise aa gaya?
Apne jaisa hum ko samjhe, kis ne hai behka diya?


Pujari:-
Pehle suniye baat meri phir khafa hon is qadar
Jab galat tahre to phir juta tumhara mera sar
Mudda to pesh karne ki izazat dijiye
Gour se phir aap sun lene ki zahmat kijiye

Mujawir:-
Thik hai fouran nikalo apne dil ki ye khalas
Kya dalail(proofs) hain ke hum donon ki hai ek hi rous(rastaa)

Pujari:-
Ek hi prabhu ki puja agar hum karte nahi
Ek hi dargaah per sar(head) aap bhi dharte nahi
Apni pujagaah devi ka agar asthan hai
Aap ke sajdon ka markaz bhi to qabrestan hai
Apne dewtaon ki ginti hum gar rakhte nahi
Aap bhi mushkil kushaon ko to gin sakte nahi
Jitney kankar utne shankar ye agar mashhoor(famous) hai
Jitney murd utne sajde aap ka dastur hai
Apne devi dewta ko hai agar kuch ikhtiyaar
Aap k waliyon ki taqat(power) ka nahi kuch bhi shumaar
Laxmi apne yahan doulat agar hai baat ti
Aap k rozi rasiya Baghdad k hain pir ji
Dushmanon ko zer(destroy) karti hai agar kaali meri
Har musibat se bachain tum ko ajmeri wali
Waqt-e-mushqil ka hai nara apna bajrangi bali
Aap ko dekha lagaate nara-e haider ali
Malik-e santan santoshi agar apne yahan
Aap ko aulaad karte hain ata Saabir mian
Leta hai autar prabhu apna jab har desh mein
Aap ne samjha hai rab ko Mustafa k bhes mein
Raam ki surat mein aa kar desh ka raja bana
Aap kehte hain k malik hind ka raja bana
Hum ne jab moula ko dekha gopiyon k pher mein
Aap ne dekha kabhi kaliyar kabhi ajmer mein!
Ram naumi per banain hum jo rawan to gunaah
Tum muharram mein banakar naam rakh do taajiya
Hum deewali aur holi per banain gujiyan
Aap rajab mein banain naam rakh dein kundiyan!
Jis tarah hum hain bajate mandiron mein ghantiyan
Turbaton per aap ko dekha bajaate taaliyan
Hum bhajan karte hain gaa kar dewta ki khubiyaan
Aap bhi qabron pe gaate jhoom kar qawwaliyan
Hum chadhate hain buton pe dudj ya paani ki dhar
Tum mazaron pe chadhao murg o chadar shandaar
Agar hamare dewta papal k pedon per rahen
To tumhare auliya bargad ki jad mein ja ghusen
Hum pawitr hote hain gangaji ke har asnan per
Aap paak hote aasagar mein gota maar ker
But parasti ki bina pe hum se ye bugz o inaad?
Sar(head) jhuka ke maang te ho khud hi qabron se murad
But ki puja hum Karen hum ko mile nare saqar?
Aap qabron per jhuken kaise mile janat mein ghar
Aap mushrik hum bhi mushrik(non believer) mamla jab saaf hai
Tum jannati hum dozakhi ye koi insaaf hai?
Hum bhi jannat mein rahenge aap hain agar jannati
Warna dozakh mein hamare saath honge aap bhi

Mujaawir:-
Thik hi kehte ho beshak to na koi farq hai
Hashashr ke din waqai donon ka beda garq hai
Mukhtalif kuch bhi nahi ek duje ki rah gujar
Naam hi ka farq donon jaamzan ek raah per
Sach hai jannat to saji khaalis mu’ahhid k liye
Naare dozakh hi hai mushriq aur mulahhid k liye
Hai karaamat aaba-o-azdaad ki taqleed ki
Jis ne hai allah ki tawheed ki tardeed ki tardeed ki
Ye mulaqaat aap se meri bahut hi behtar hui
Shirk aur bid’at ki kalai puri khul gayi
Phir bhi apne maulvi se hum samajh lenge abhi
Kya yahi tha deen-e-khaalis jo k laye the nabi!

2 comments:

Unknown said...

Masha Allah, May Allah bless all of us with hidayah. And all this false things end soon, Insha Allah

Unknown said...

sun le hindu khanmakha tune dhara ilzam hai,
tu hai kafir main hun momin kyoun tujhe ibham hai,
kis liye but se mila baitha hai tu rab ka wali,
lagta hai tera padosi hai nikhattu kharji,
tune mana devtaon ko parastish ki jagah,
humne waliyon ki mazaron ko na mana sajdagah,
tune har har murti ko kar liya masjood hai,
apna to rabbe jahan hi bas faqat maabood hai,
gar nahin samjha brahman sanam o marqad me faraq,
kuchh nahin uspe tajjub wo hai zulmat me gharaq,
is faraq ko kaise samjhe jiska dil bimaar hai,
is faraq ko samajhne me noore dil darkar hai,
sad ta'assuf kharji par dawa e iman hai,
phir bhi zalim is faraq se bekhabar naadan hai,
quabr e momin bilyaqin hai jannati baghon me bagh,
jabki patthar murti ka bilyaqin dozakh ki aag,
jis qadar hai dozakh o jsnnat ki haiyat me faraq,
is qadar hai sanam o turbat ki haqiqat me faraq,
sanam me jan thi na hai, na hi use idraq bhi,
banda e khaki to sun leta hai zere khak bhi,
na milao auliya ko tabka e ausan se,
ye to aun e kibriya hain puchh lo quran se,
gar asaye muswi par haq ki ho jalwagari,
sar jhukaye uske aage ahad ki jadugari,
ek lakdi ki madad se jab hua haq ka zahoor,
kis liye aun e wali se ho aqide me fatoor,
hai masallm lakdiyon me us asa ki sarwari,
phir bhi hai jangli dhature ko wali se humsari?
Allah walon ki madad gar hai shariyat me haram,
kis liye aaye farishte badar me bahre haram,
hai yahi aasif ka jhagda aaj fikr e kham se,
na milao rab ke bandon ko kabhi asnam se.